Parveen Shakir

shauq-e-raqs se jab tak ungliyan nahin khultin

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
shauq-e-raqs se jab tak uñgliyāñ nahīñ khultīñ
paañv se havāoñ ke beḌiyāñ nahīñ khultīñ
peḌ ko duā de kar kaT ga.ī bahāroñ se
phuul itne baḌh aa.e khiḌkiyāñ nahīñ khultīñ
phuul ban ke sairoñ meñ aur kaun shāmil thā
shoḳhi-e-sabā se to bāliyāñ nahīñ khultīñ
husn ke samajhne ko umr chāhiye jānāñ
do ghaḌī kī chāhat meñ laḌkiyāñ nahīñ khultīñ
koī mauja-e-shīrīñ chuum kar jagā.egī
sūrajoñ ke nezoñ se sīpiyāñ nahīñ khultīñ
maañ se kyā kaheñgī dukh hijr kā ki ḳhud par bhī
itnī chhoTī umroñ kī bachchiyāñ nahīñ khultīñ
shāḳh shāḳh sargardāñ kis kī justujū meñ haiñ
kaun se safar meñ haiñ titliyāñ nahīñ khultīñ
aadhī raat kī chup meñ kis kī chaap ubhartī hai
chhat pe kaun aatā hai sīḌhiyāñ nahīñ khultīñ
pāniyoñ ke chaḌhne tak haal kah sakeñ aur phir
kyā qayāmateñ guzrīñ bastiyāñ nahīñ khultīñ
Top Urdushayar.com