Parveen Shakir

ilzam tha diye pe na taqsir raat ki

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
ilzām thā diye pe na taqsīr raat kī
ham ne to bas havā ke ta.alluq se baat kī
har sub.h jab ki sub.h-e-qayāmat kī tarah aa.e
aise meñ kaun hogā jo soche sabāt kī
taklīf to huī magar ai nāḳhun-e-malāl
khulne lagī girah bhī koī apnī zaat kī
zanjīr hai jazīra hai yā shāḳh-e-be-samar
ab kaun sī lakīr salāmat hai haat kī
marne agar na paa.ī to zinda bhī kab rahī
tanhā kaTī vo umr jo thī tere saath kī
phir bhī na merā qāfila luTne se bach sakā
maiñ ne ḳhabar to rakkhī thī ek ek ghaat kī
Top Urdushayar.com