thak gayā hai dil-e-vahshī mirā fariyād se bhī
jī bahaltā nahīñ ai dost tirī yaad se bhī
ai havā kyā hai jo ab nazm-e-chaman aur huā
said se bhī haiñ marāsim tire sayyād se bhī
kyuuñ saraktī huī lagtī hai zamīñ yaañ har dam
kabhī pūchheñ to sabab shahr kī buniyād se bhī
barq thī yā ki sharār-e-dil-e-āshufta thā
koī pūchhe to mire āshiyāñ-barbād se bhī
baḌhtī jaatī hai kashish va.ada-gah-e-hastī kī
aur koī khīñch rahā hai adam-ābād se bhī