vo ham nahīñ jinheñ sahnā ye jabr aa jaatā
tirī judā.ī meñ kis tarah sabr aa jaatā
fasīleñ toḌ na dete jo ab ke ahl-e-qafas
tū aur tarah kā elān-e-jabr aa jaatā
vo fāsla thā duā aur mustajābī meñ
ki dhuup māñgne jaate to abr aa jaatā
vo mujh ko chhoḌ ke jis aadmī ke paas gayā
barābarī kā bhī hotā to sabr aa jaatā
vazīr o shaah bhī ḳhas-ḳhānoñ se nikal aate
agar gumān meñ añgār-e-qabr aa jaatā