tire sivā kise DhūñDūñ sarāb-o-sahrā meñ
tirī hī zaat kā partav har ik tamannā meñ
ye tishnagī to azal se hai ham-safar apnī
maiñ kal pahāḌ par tishna thā aaj dariyā meñ
haiñ sard aah se jhoñke havā ke yaḳh-basta
guzishta rut sī agan bhī nahīñ hai barkhā hai
guzar guzar ke har ik lamha sang-zār havā
bhaTak rahā huuñ maiñ yaado ke ik ajantā meñ
shab-e-hayāt guzārī sabhī ne ḳhvāboñ meñ
ham hī ko raas na aa.e habāb dariyā meñ