bajā ki aañkh meñ nīndoñ ke silsile bhī nahīñ
shikast-e-ḳhvāb ke ab mujh meñ hausle bhī nahīñ
nahīñ nahīñ ye ḳhabar dushmanoñ ne dī hogī
vo aa.e aa ke chale bhī ga.e mile bhī nahīñ
ye kaun log añdheroñ kī baat karte haiñ
abhī to chāñd tirī yaad ke Dhale bhī nahīñ
abhī se mere rafūgar ke haath thakne lage
abhī to chaak mire zaḳhm ke sile bhī nahīñ
ḳhafā agarche hamesha hue magar ab ke
vo barhamī hai ki ham se unheñ gile bhī nahīñ