Parveen Shakir

baadban khulne se pahle ka ishaara dekhna

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
bādbāñ khulne se pahle kā ishāra dekhnā
maiñ samundar dekhtī huuñ tum kināra dekhnā
yuuñ bichhaḌnā bhī bahut āsāñ na thā us se magar
jaate jaate us kā vo muḌ kar dobāra dekhnā
kis shabāhat ko liye aayā hai darvāze pe chāñd
ai shab-e-hijrāñ zarā apnā sitāra dekhnā
kyā qayāmat hai ki jin ke naam par paspā hue
un hī logoñ ko muqābil meñ saf-ārā dekhnā
jab banām-e-dil gavāhī sar kī māñgī jā.egī
ḳhuun meñ Duubā huā parcham hamārā dekhnā
jītne meñ bhī jahāñ jī kā ziyāñ pahle se hai
aisī baazī hārne meñ kyā ḳhasāra dekhnā
aa.ine kī aañkh hī kuchh kam na thī mere liye
jaane ab kyā kyā dikhā.egā tumhārā dekhnā
ek musht-e-ḳhāk aur vo bhī havā kī zad meñ hai
zindagī kī bebasī kā isti.āra dekhnā
Top Urdushayar.com