Dasne lage haiñ ḳhvāb magar kis se boliye
maiñ jāntī thī paal rahī huuñ sañpoliye
bas ye huā ki us ne takalluf se baat kī
aur ham ne rote rote dupaTTe bhigo liye
palkoñ pe kachchī nīñdoñ kā ras phailtā ho jab
aise meñ aañkh dhuup ke ruḳh kaise kholiye
terī barhana-pā.ī ke dukh bāñTte hue
ham ne ḳhud apne paañv meñ kāñTe chubho liye
maiñ terā naam le ke tazabzub meñ paḌ ga.ī
sab log apne apne azīzoñ ko ro liye
ḳhush-bū kahīñ na jaa.e pa isrār hai bahut
aur ye bhī aarzū ki zarā zulf kholiye
tasvīr jab na.ī hai nayā canvas bhī hai
phir tashtarī meñ rañg purāne na gholiye