shaam aa.ī tirī yādoñ ke sitāre nikle
rañg hī ġham ke nahīñ naqsh bhī pyāre nikle
ek mauhūm tamannā ke sahāre nikle
chāñd ke saath tire hijr ke maare nikle
koī mausam ho magar shān-e-ḳham-o-pech vahī
raat kī tarah koī zulf sañvāre nikle
raqs jin kā hameñ sāhil se bahā laayā thā
vo bhañvar aañkh tak aa.e to kināre nikle
vo to jaañ le ke bhī vaisā hī subuk-nām rahā
ishq ke baab meñ sab jurm hamāre nikle
ishq dariyā hai jo tere vo tahī-dast rahe
vo jo Duube the kisī aur kināre nikle
dhuup kī rut meñ koī chhāñv ugātā kaise
shāḳh phūTī thī ki ham-sāyoñ meñ aare nikle