ashk aañkh meñ phir aTak rahā hai
kañkar sā koī khaTak rahā hai
maiñ us ke ḳhayāl se gurezāñ
vo merī sadā jhaTak rahā hai
tahrīr usī kī hai magar dil
ḳhat paḌhte hue aTak rahā hai
haiñ phone pe kis ke saath bāteñ
aur zehn kahāñ bhaTak rahā hai
sadiyoñ se safar meñ hai samundar
sāhil pe thakan Tapak rahā hai
ik chāñd salīb-e-shāḳh-e-gul par
baalī kī tarah laTak rahā hai