kyā kare merī masīhā.ī bhī karne vaalā
zaḳhm hī ye mujhe lagtā nahīñ bharne vaalā
zindagī se kisī samjhaute ke bā-vasf ab tak
yaad aatā hai koī mārne marne vaalā
us ko bhī ham tire kūche meñ guzār aa.e haiñ
zindagī meñ vo jo lamha thā sañvarne vaalā
shaam hone ko hai aur aañkh meñ ik ḳhvāb nahīñ
koī is ghar meñ nahīñ raushnī karne vaalā
dastaras meñ haiñ anāsir ke irāde kis ke
so bikhar ke hī rahā koī bikharne vaalā
us kā andāz-e-suḳhan sab se judā thā shāyad
baat lagtī huī lahja vo mukarne vaalā
isī ummīd par har shaam bujhā.e haiñ charāġh
ek taaza hai sar-e-bām ubharne vaalā