Parveen Shakir

tarash kar mere bazu uDan chhoD gaya

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
tarāsh kar mire baazū uḌaan chhoḌ gayā
havā ke paas barahna kamān chhoḌ gayā
rafāqatoñ kā mirī us ko dhyān kitnā thā
zamīn le lī magar āsmān chhoḌ gayā
ajiib shaḳhs thā bārish kā rañg dekh ke bhī
khule darīche pe ik pūl-dān chhoḌ gayā
jo bādaloñ se bhī mujh ko chhupā.e rakhtā thā
baḌhī hai dhuup to be-sā.ebān chhoḌ gayā
nikal gayā kahīñ an-dekhe pāniyoñ kī taraf
zamīñ ke naam khulā bādbān chhoḌ gayā
uqaab ko thī ġharaz fāḳhta pakaḌne se
jo gir ga.ī to yūñhī nīm-jān chhoḌ gayā
na jaane kaun sā aaseb dil meñ bastā hai
ki jo bhī Thahrā vo āḳhir makān chhoḌ gayā
aqab meñ gahrā samundar hai sāmne jañgal
kis intihā pe mirā mehrbān chhoḌ gayā
Top Urdushayar.com