khulegī us nazar pe chashm-e-tar āhista āhista
kiyā jaatā hai paanī meñ safar āhista āhista
koī zanjīr phir vāpas vahīñ par le ke aatī hai
kaThin ho raah to chhuTtā hai ghar āhista āhista
badal denā hai rasta yā kahīñ par baiTh jaanā hai
ki thaktā jā rahā hai ham-safar āhista āhista
ḳhalish ke saath is dil se na merī jaañ nikal jaa.e
khiñche tīr-e-shanāsā.ī magar āhista āhista
havā se sar-kashī meñ phuul kā apnā ziyāñ dekhā
so jhuktā jā rahā hai ab ye sar āhista āhista