kanār-e-barg-e-tabassum laraztā qatra hai
zamīñ kī kokh meñ laavā pighaltā rahtā hai
sulag rahī haiñ dil-o-jāñ kī kā.enāteñ aur
laboñ kī oT meñ sho.ala chhupā.e rakkhā hai
habāb sī kisī saa.at meñ tujh se milne ko
ka.ī yugoñ kā mujhe intizār karnā hai
tire firāq meñ badle haiñ aise kaun-o-makāñ
udaas raat meñ ik dopahar bhī zinda hai
zabāñ pe shorish-e-harf-e-shikāyat-e-jānāñ
ināyatoñ kā tah-e-dil meñ shor barpā hai
ufuq ke baam bhī haiñ dam-ba-ḳhud tirī ḳhātir
tirī talāsh meñ bikhrā huā ye sahrā hai
ulajh rahī hai abas mauj-e-ḳhūn sāhil se
har ek harf-e-tamannā sadā-ba-sahrā hai
Dubo ke aa gayā maiñ apnī har sadā lekin
mire vajūd meñ ye kis kī chīḳh zinda hai