rukne kā samay guzar gayā hai
jaanā tirā ab Thahar gayā hai
ruḳhsat kī ghaḌī khaḌī hai sar par
dil koī do-nīm kar gayā hai
mātam kī fazā hai shahr-e-dil meñ
mujh meñ koī shaḳhs mar gayā hai
bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis
phir ḳhvāb-e-sabā bikhar gayā hai
bas ek nigāh kī thī us ne
saarā chehra nikhar gayā hai