mar bhī jā.ūñ to kahāñ log bhulā hī deñge
lafz mere mire hone kī gavāhī deñge
log tharrā ga.e jis vaqt munādī aa.ī
aaj paiġhām nayā zill-e-ilāhī deñge
jhoñke kuchh aaise thapakte haiñ guloñ ke ruḳhsār
jaise is baar to pat-jhaḌ se bachā hī deñge
ham vo shab-zād ki sūraj kī ināyāt meñ bhī
apne bachchoñ ko faqat kor-nigāhī deñge
āstīñ sāñpoñ kī pahneñge gale meñ maalā
ahl-e-kūfa ko na.ī shahr-panāhī deñge
shahr kī chābiyāñ a.adā ke havāle kar ke
tohfatan phir unheñ maqtūl sipāhī deñge