Parveen Shakir

gae mausam mein jo khilte the gulabon ki tarah

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
ga.e mausam meñ jo khilte the gulāboñ kī tarah
dil pe utreñge vahī ḳhvāb azāboñ kī tarah
raakh ke Dher pe ab raat basar karnī hai
jal chuke haiñ mire ḳheme mire ḳhvāboñ kī tarah
sā.at-e-dīd ki aariz haiñ gulābī ab tak
avvalīñ lamhoñ ke gulnār hijāboñ kī tarah
vo samundar hai to phir ruuh ko shādāb kare
tishnagī kyuuñ mujhe detā hai sarāboñ kī tarah
ġhair-mumkin hai tire ghar ke gulāboñ kā shumār
mere riste hue zaḳhmoñ ke hisāboñ kī tarah
yaad to hoñgī vo bāteñ tujhe ab bhī lekin
shelf meñ rakkhī huī band kitāboñ kī tarah
kaun jaane ki na.e saal meñ tū kis ko paḌhe
terā me.aar badaltā hai nisāboñ kī tarah
shoḳh ho jaatī hai ab bhī tirī āñkhoñ kī chamak
gaahe gaahe tire dilchasp javāboñ kī tarah
hijr kī shab mirī tanhā.ī pe dastak degī
terī ḳhush-bū mire kho.e hue ḳhvāboñ kī tarah
Top Urdushayar.com