aks-e-ḳhushbū huuñ bikharne se na roke koī
aur bikhar jā.ūñ to mujh ko na sameTe koī
kaañp uThtī huuñ maiñ ye soch ke tanhā.ī meñ
mere chehre pe tirā naam na paḌh le koī
jis tarah ḳhvāb mire ho ga.e reza reza
us tarah se na kabhī TuuT ke bikhre koī
maiñ to us din se hirāsāñ huuñ ki jab hukm mile
ḳhushk phūloñ ko kitāboñ meñ na rakkhe koī
ab to is raah se vo shaḳhs guzartā bhī nahīñ
ab kis ummīd pe darvāze se jhāñke koī
koī aahaT koī āvāz koī chaap nahīñ
dil kī galiyāñ baḌī sunsān haiñ aa.e koī