ahl-e-havas ke hāthoñ na ye kārobār ho
ābād hoñ sitāre zamīñ regzār ho
ik shaan ye bhī jiine kī hai jī rahe haiñ log
tūfān se lagāo samundar se pyaar ho
hālāt meñ kabhī ye tavāzun dikhā.ī de
ġham mustaqil rahe na ḳhushī musta.ār ho
nafrat ke sañg-rezoñ kī bārish thame kabhī
dair-o-haram ke beach safar ḳhush-gavār ho
sadiyoñ se ghul rahī hai isī fikr meñ hayāt
rahzan se paak ziist kī har rahguzār ho
bād-e-sumūm luuT le chehroñ kī tāzgī
aglī sadī kī aisī na fasl-e-bahār ho
'najmī' jo apne ahd kī tārīḳh ban ga.e
un shā.iroñ meñ kaash mirā bhī shumār ho