nahīñ sharīk azāboñ kā jān-e-jāñ koī
ḳhudā gavāh nahīñ hai nahīñ yahāñ koī
vo dekho baañh pasāre hai sāmne manzil
faqat gumāñ hai ki hai raah darmiyāñ koī
chubhan sī kaise piro dī hai us ne sāñsoñ meñ
shikāyatoñ meñ numāyāñ hai mehrbāñ koī
ināyateñ haiñ tirī dhuup sard mausam kī
baḌhe jo had se to baiThe bhalā kahāñ koī
rahā vo gosh-bar-āvāz aur hameñ barsoñ
ḳhayāl tak nahīñ aa yā ki hai yahāñ koī
sivā.e halqa-e-yārāñ meñ apnī shohrat ke
hamārī zaat kā dushman yahāñ kahāñ koī
har ek samt ḳhamoshī kā kufr chhāyā hai
hamārī zaat ke sahrā meñ de azaañ koī