jagā sake na tire lab lakīr aisī thī
hamāre baḳht kī rekhā bhī 'mīr' aisī thī
ye haath chūme ga.e phir bhī be-gulāb rahe
jo rut bhī aa.ī ḳhizāñ kī safīr aisī thī
vo mere paañv ko chhūne jhukā thā jis lamhe
jo māñgtā use detī amiir aisī thī
shahādateñ mire haq meñ tamām jaatī thiiñ
magar ḳhamosh the munsif nazīr aisī thī
katar ke jaal bhī sayyād kī razā ke baġhair
tamām umr na uḌtī asiir aisī thī
phir us ke baad na dekhe visāl ke mausam
judā.iyoñ kī ghaḌī chashm-gīr aisī thī
bas ik nigāh mujhe dekhtā chalā jaatā
us aadmī kī mohabbat faqīr aisī thī
ridā ke saath luTere ko zād-e-rah bhī diyā
tirī farāḳh-dilī mere viir aisī thī
kabhī na chāhne vāloñ kā ḳhūñ-bahā māñgā
nigār-e-shahr-e-suḳhan be-zamīr aisī thī