agarche tujh se bahut iḳhtilāf bhī na huā
magar ye dil tirī jānib se saaf bhī na huā
ta.alluqāt ke barzaḳh meñ hī rakhā mujh ko
vo mere haq meñ na thā aur ḳhilāf bhī na huā
ajab thā jurm-e-mohabbat ki jis pe dil ne mire
sazā bhī paa.ī nahīñ aur muaaf bhī na huā
malāmatoñ meñ kahāñ saañs le sakeñge vo log
ki jin se kū-e-jafā kā tavāf bhī na huā
ajab nahīñ hai ki dil par jamī milī kaa.ī
bahut dinoñ se to ye hauz saaf bhī na huā
havā-e-dahr hameñ kis liye bujhātī hai
hameñ to tujh se kabhī iḳhtilāf bhī na huā