pā-ba-gil sab haiñ rihā.ī kī kare tadbīr kaun
dast-basta shahr meñ khole mirī zanjīr kaun
merā sar hāzir hai lekin merā munsif dekh le
kar rahā hai merī fard-e-jurm ko tahrīr kaun
aaj darvāzoñ pe dastak jaanī pahchānī sī hai
aaj mere naam laatā hai mirī ta.azīr kaun
koī maqtal ko gayā thā muddatoñ pahle magar
hai dar-e-ḳhema pe ab tak sūrat-e-tasvīr kaun
merī chādar to chhinī thī shaam kī tanhā.ī meñ
be-ridā.ī ko mirī phir de gayā tash.hīr kaun
sach jahāñ pā-basta mulzim ke kaTahre meñ mile
us adālat meñ sunegā adl kī tafsīr kaun
niiñd jab ḳhvāboñ se pyārī ho to aise ahd meñ
ḳhvāb dekhe kaun aur ḳhvāboñ ko de tābīr kaun
ret abhī pichhle makānoñ kī na vāpas aa.ī thī
phir lab-e-sāhil gharauñdā kar gayā ta.amīr kaun
saare rishte hijratoñ meñ saath dete haiñ to phir
shahr se jaate hue hotā hai dāman-gīr kaun
dushmanoñ ke saath mere dost bhī āzād haiñ
dekhnā hai khīñchtā hai mujh pe pahlā tiir kaun