jalā diyā shajar-e-jāñ ki sabz-baḳht na thā
kisī bhī rut meñ harā ho ye vo daraḳht na thā
vo ḳhvāb dekhā thā shahzādiyoñ ne pichhle pahar
phir us ke baad muqaddar meñ taaj o taḳht na thā
zarā se jabr se maiñ bhī to TuuT saktī thī
mirī tarah se tabī.at kā vo bhī saḳht na thā
mire liye to vo ḳhanjar bhī phuul ban ke uThā
zabān saḳht thī lahja kabhī karaḳht na thā
añdherī rātoñ ke tanhā musāfiroñ ke liye
diyā jalātā huā koī sāz-o-raḳht na thā
ga.e vo din ki mujhī tak thā merā dukh mahdūd
ḳhabar ke jaisā ye afsāna laḳht-laḳht na thā