Mohammad Asadullah

lahu mein Dube sitam-rasida figar chehre

Mohammad Asadullah

Warud, Maharashtra, India

1958
lahū meñ Duube sitam-rasīda figār chehre
kitāb jaise khule hue be-shumār chehre
rahīn-e-daurāñ girāñ-bahā sūrateñ hamārī
hamāre jismoñ kī zīnateñ musta.ār chehre
hazār chehra kitāb āñkhoñ ke rū-ba-rū hai
magar sar-e-rāh bhī jo mil jaa.eñ chaar chaar chehre
koī matā-e-azīz az jaañ chhinī hai sab se
jidhar bhī dekhūñ haiñ rū-ba-rū sogvār chehre
usī se hai āshkār saarā hunar hamārā
hamāre chehre nahīñ hue āshkār chehre
bhalā kise āsmān-e-gardish talāshtī hai
kahāñ haiñ vo ḳhush-numā.iyāñ pur-bahār chehre
Top Urdushayar.com