baḳht se koī shikāyat hai na aflāk se hai
yahī kyā kam hai ki nisbat mujhe is ḳhaak se hai
ḳhvāb meñ bhī tujhe bhūlūñ to ravā rakh mujh se
vo ravayya jo havā kā ḳhas-o-ḳhāshāk se hai
bazm-e-anjum meñ qabā ḳhaak kī pahnī maiñ ne
aur mirī saarī fazīlat isī poshāk se hai
itnī raushan hai tirī sub.h ki hotā hai gumāñ
ye ujālā to kisī dīda-e-namnāk se hai
haath to kaaT diye kūza-garoñ ke ham ne
mo.ajize kī vahī ummīd magar chaak se hai