bārish huī to phūloñ ke tan chaak ho ga.e
mausam ke haath bhiig ke saffāk ho ga.e
bādal ko kyā ḳhabar hai ki bārish kī chaah meñ
kaise buland-o-bālā shajar ḳhaak ho ga.e
jugnū ko din ke vaqt parakhne kī zid kareñ
bachche hamāre ahd ke chālāk ho ga.e
lahrā rahī hai barf kī chādar haTā ke ghaas
sūraj kī shah pe tinke bhī bebāk ho ga.e
bastī meñ jitne āb-gazīda the sab ke sab
dariyā ke ruḳh badalte hī tairāk ho ga.e
sūraj-dimāġh log bhī ablāġh-e-fikr meñ
zulf-e-shab-e-firāq ke pechāk ho ga.e
jab bhī ġharīb-e-shahr se kuchh guftugū huī
lahje havā-e-shām ke namnāk ho ga.e