Parveen Shakir

harf-e-taza nai KHushbu mein likha chahta hai

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
harf-e-tāza na.ī ḳhushbū meñ likhā chāhtā hai
baab ik aur mohabbat kā khulā chāhtā hai
ek lamhe kī tavajjoh nahīñ hāsil us kī
aur ye dil ki use had se sivā chāhtā hai
ik hijāb-e-tah-e-iqrār hai maane varna
gul ko mālūm hai kyā dast-e-sabā chāhtā hai
ret hī ret hai is dil meñ musāfir mere
aur ye sahrā tirā naqsh-e-kaf-e-pā chāhtā hai
yahī ḳhāmoshī ka.ī rañg meñ zāhir hogī
aur kuchh roz ki vo shoḳh khulā chāhtā hai
raat ko maan liyā dil ne muqaddar lekin
raat ke haath pe ab koī diyā chāhtā hai
tere paimāne meñ gardish nahīñ baaqī saaqī
aur tirī bazm se ab koī uThā chāhtā hai
Top Urdushayar.com