maiñ faqat chaltī rahī manzil ko sar us ne kiyā
saath mere raushnī ban kar safar us ne kiyā
is tarah khīñchī hai mere gird dīvār-e-ḳhabar
saare dushman rauzanoñ ko be-nazar us ne kiyā
mujh meñ baste saare sannāToñ kī lai us se banī
pattharoñ ke darmiyāñ thī naġhma-gar us ne kiyā
be-sar-o-sāmāñ pe dildārī kī chādar Daal dī
be-dar-o-dīvār thī maiñ mujh ko ghar us ne kiyā
pāniyoñ meñ ye bhī paanī ek din tahlīl thā
qatra-e-be-sarfa ko lekin guhar us ne kiyā
ek ma.amūlī sī achchhā.ī tarāshī hai bahut
aur fikr-e-ḳhām se sarf-e-nazar us ne kiyā
phir to imkānāt phūloñ kī tarah khulte ga.e
ek nanhe se shagūfe ko shajar us ne kiyā
taaq meñ rakkhe diye ko pyaar se raushan kiyā
us diye ko phir charāġh-e-rahguzar us ne kiyā