is par na jā ki dasht sī vīrāñ haiñ putliyāñ
vo din bhī the ki ḳhvāb ke hiire jaḌe rahe
poshīda til kī oT meñ kohsār-e-jāñ rahā
barsoñ hamārī zaat pe parde paḌe rahe
ik dandanātī rail sī umreñ guzar ga.iiñ
do pTriyoñ ke beach vahī fāsle rahe
ik umr terī yaad ke shahr-e-tilism meñ
patthar kā nisf aadmī ban kar khaḌe rahe
is ḳhāk-e-rah ko kar diyā ham-dosh-e-zar magar
sañg āstān-e-yār ke patthar bane rahe