dhanak dhanak mirī poroñ ke ḳhvāb kar degā
vo lams mere badan ko gulāb kar degā
qabā-e-jism ke har taar se guzartā huā
kiran kā pyaar mujhe āftāb kar degā
junūñ-pasand hai dil aur tujh tak aane meñ
badan ko naav lahū ko chanāb kar degā
maiñ sach kahūñgī magar phir bhī haar jā.ūñgī
vo jhuuT bolegā aur lā-javāb kar degā
anā-parast hai itnā ki baat se pahle
vo uTh ke band mirī har kitāb kar degā
sukūt-e-shahr-e-suḳhan meñ vo phuul sā lahja
samā.atoñ kī fazā ḳhvāb ḳhvāb kar degā
isī tarah se agar chāhtā rahā paiham
suḳhan-varī meñ mujhe intiḳhāb kar degā
mirī tarah se koī hai jo zindagī apnī
tumhārī yaad ke naam intisāb kar degā