Parveen Shakir

isi mein KHush hun mera dukh koi to sahta hai

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
isī meñ ḳhush huuñ mirā dukh koī to sahtā hai
chalī chalūñgī jahāñ tak ye saath rahtā hai
zamīn-e-dil yūñhī shādāb to nahīñ ai dost
qarīb meñ koī dariyā zarūr bahtā hai
ghane daraḳhtoñ ke girne pe mā-sivā-e-havā
azāb-e-dar-badrī aur kaun sahtā hai
na jaane kaun sā fiqra kahāñ raqam ho jaa.e
diloñ kā haal bhī ab kaun kis se kahtā hai
maqām-e-dil kahīñ ābādiyoñ se hai bāhar
aur is makān meñ jaise ki koī rahtā hai
mire badan ko namī khā ga.ī hai ashkoñ kī
bharī bahār meñ kaisā makān Dhahtā hai
Top Urdushayar.com