Parveen Shakir

sabhi gunah dhul gae saza hi aur ho gai

Parveen Shakir

Karachi, Sindh, Pakistan

1952-1994
sabhī gunāh dhul ga.e sazā hī aur ho ga.ī
mire vajūd par tirī gavāhī aur ho ga.ī
rafū-garān-e-shahr bhī kamāl log the magar
sitāra-sāz haath meñ qabā hī aur ho ga.ī
bahut se log shaam tak kivāḌ khol kar rahe
faqīr-e-shahr kī magar sadā hī aur ho ga.ī
añdhere meñ the jab talak zamāna sāz-gār thā
charāġh kyā jalā diyā havā hī aur ho ga.ī
bahut sambhal ke chalne vaalī thī par ab ke baar to
vo gul khile ki shoḳhī-e-sabā hī aur ho ga.ī
na jaane dushmanoñ kī kaun baat yaad aa ga.ī
laboñ tak aate aate bad-duā hī aur ho ga.ī
ye mere haath kī lakīreñ khul rahī thiiñ yā ki ḳhud
shagun kī raat ḳhushbū-e-hinā hī aur ho ga.ī
zarā sī kargasoñ ko āb-o-dāna kī jo shah milī
uqaab se ḳhitāb kī adā hī aur ho ga.ī
Top Urdushayar.com