duā kā TuuTā huā harf sard aah meñ hai
tirī judā.ī kā manzar abhī nigāh meñ hai
tire badalne ke bā-vasf tujh ko chāhā hai
ye e'tirāf bhī shāmil mire gunāh meñ hai
azaab degā to phir mujh ko ḳhvāb bhī degā
maiñ mutma.in huuñ mirā dil tirī panāh meñ hai
bikhar chukā hai magar muskurā ke miltā hai
vo rakh rakhāo abhī mere kaj-kulāh meñ hai
jise bahār ke mehmān ḳhālī chhoḌ ga.e
vo ik makān abhī tak makīñ kī chaah meñ hai
yahī vo din the jab ik dūsre ko paayā thā
hamārī sāl-girah Thiik ab ke maah meñ hai
maiñ bach bhī jā.ūñ to tanhā.ī maar Dālegī
mire qabīle kā har fard qatl-gāh meñ hai