mushkil hai ki ab shahr meñ nikle koī ghar se
dastār pe baat aa ga.ī hotī huī sar se
barsā bhī to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mire khet the jis abr ko tarse
kal raat jo īñdhan ke liye kaT ke girā hai
chiḌiyoñ ko baḌā pyaar thā us būḌhe shajar se
mehnat mirī āñdhī se to mansūb nahīñ thī
rahnā thā koī rabt shajar kā bhī samar se
ḳhud apne se milne kā to yaarā na thā mujh meñ
maiñ bhiiḌ meñ gum ho ga.ī tanhā.ī ke Dar se
be-nām masāfat hī muqaddar hai to kyā ġham
manzil kā ta.ayyun kabhī hotā hai safar se
pathrāyā hai dil yuuñ ki koī ism paḌhā jaa.e
ye shahr nikaltā nahīñ jaadū ke asar se
nikle haiñ to raste meñ kahīñ shaam bhī hogī
sūraj bhī magar aa.egā is rahguzar se