bhuul jaane ko hai jahāñ saarā
yaad rakhne ko ik ḳhudā hai bahut
hai jo pesh-e-nazar pare us se
manzar ik aur dilrubā hai bahut
gūñjtī āhaTeñ nahīñ thamtīñ
mere andar koī rahā hai bahut
gumrahī se hai apnī nā-vāqif
rāstoñ ko vo jāntā hai bahut
merī dīvāngī jalā.e charāġh
raushnī gum hai aur havā hai bahut
ye azāboñ kā silsila kaisā
zindagī hī to ik sazā hai bahut