afsūñ pahlī bārish kā
ik dhultā lafz nigārish kā
ik chehra aks bahāroñ kā
ik ā.īna ruḳhsāroñ kā
ik ḳhema-e-abr duāoñ kā
ik saaya narm ridāoñ kā
ik khel purānā chāhat kā
ik dard bahāna rāhat kā
ik peḌ ghanerī yādoñ kā
ik mahkā baaġh murādoñ kā
ik ghar nīchī dīvāroñ kā
ik ziina chāñd-sitāroñ kā
ik album husn jazīroñ kā
ik sarmāya tasvīroñ kā
ik taptā sonā tan-man kā
ik chaḌhtā dariyā joban kā
ik jagmag manzar yādoñ kā
ik jaltā diip irādoñ kā
ik taa.ir duur jahānoñ kā
ik sūrat-gar imkānoñ kā
ik daur ajab nādānī kā
ik rañgīñ moḌ kahānī kā
ik gol chahaktī chiḌiyoñ kā
ik narm bichhaunā guḌiyoñ kā
ik shor ujaḌte shahroñ kā
ik rañj simaTtī nahroñ kā
ik Dhaltā sūraj bastī kā
ik suunā āñgan hastī kā
ik thamtā saaz azānoñ kā
ik baḌhtā shor dukānoñ kā
ik raavī agle vaqtoñ kā
ik nauhagar ḳhush-baḳhtoñ kā
ik mub.ham lafz ibārat kā
ik raushan bol hikāyat kā
ik gherā gorī bāñhoñ kā
ik Derā narm panāhoñ kā
ik Thahrā pul barsātoñ kā
ik jaadū kaalī rātoñ kā
ik Dher lagegā īñToñ kā
ik taḳht Thikāna beToñ kā
ik vīrāna gulzāroñ kā
ik ret-nagar āsāroñ kā
ik uḌtā rañg mināroñ kā
ik daam fanā ke tāroñ kā
ik sannāTā fariyādoñ kā
ik qahr sitam-ījādoñ kā
ik ḳhālī jaam haqīqat kā
ik sachchā naam mohabbat kā