bhañvar se ye jo mujhe bādbān khīñchtā hai
zarūr koī havāoñ ke kaan khīñchtā hai
kisī badan kī siyāhat niDhāl kartī hai
kisī ke haath kā takiya thakān khīñchtā hai
nashist ke to talabgār hī nahīñ ham log
hamāre paañv se kyuuñ pā.edān khīñchtā hai
badal ke dekh chukī hai re.āyā sāhib-e-taḳht
jo sar qalam nahīñ kartā zabān khīñchtā hai
dikhā rahā hai ḳharīdār ban ke aaj mujhe
jise lapeT ke rakkhūñ vo thaan khīñchtā hai
charāġhoñ meñ vo charāġh is liye numāyāñ hai
ham aise dekhne vāloñ kā dhyān khīñchtā hai
ye saarā jhagḌā tire inhimāk kā hī to hai
sameTtā hai koī dāstān khīñchtā hai