Azhar Faragh

koi bhi shakl mere dil mein utar sakti hai

Azhar Faragh

Okara, Punjab, Pakistan

1980
koī bhī shakl mire dil meñ utar saktī hai
ik rifāqat meñ kahāñ umr guzar saktī hai
tujh se kuchh aur ta.alluq bhī zarūrī hai mirā
ye mohabbat to kisī vaqt bhī mar saktī hai
merī ḳhvāhish hai ki phūloñ se tujhe fat.h karūñ
varna ye kaam to talvār bhī kar saktī hai
ho agar mauj meñ ham jaisā koī andhā faqīr
ek sikke se bhī taqdīr sañvar saktī hai
sub.h-dam surḳh ujālā hai khule paanī meñ
chāñd kī laash kahīñ se bhī ubhar saktī hai
Top Urdushayar.com