Azhar Faragh

kaise duniya ka jaeza kiya jae

Azhar Faragh

Okara, Punjab, Pakistan

1980
kaise duniyā kā jā.eza kiyā jaa.e
dhyān tujh se agar haTā liyā jaa.e
tez āñdhī meñ ye bhī kaafī hai
peḌ tasvīr meñ bachā liyā jaa.e
ham jise chāheñ apnā kahte raheñ
vahī apnā hai jis ko pā liyā jaa.e
ek hone kī qasmeñ khaa.ī jaa.eñ
aur āḳhir meñ kuchh diyā liyā jaa.e
zindagī maut ke darīche ko
ek parda hai jab uThā liyā jaa.e
kyuuñ na aaj apnī bebasī kā 'farāġh'
duur se baiTh kar maza liyā jaa.e
Top Urdushayar.com