Azhar Faragh

diwaren chhoTi hoti thin lekin parda hota tha

Azhar Faragh

Okara, Punjab, Pakistan

1980
dīvāreñ chhoTī hotī thiiñ lekin parda hotā thā
taale kī ījād se pahle sirf bharosa hotā thā
kabhī kabhī aatī thī pahle vasl kī lazzat andar tak
bārish tirchhī paḌtī thī to kamra giilā hotā thā
shukr karo tum is bastī meñ bhī schōl khulā varna
mar jaane ke ba.ad kisī kā sapnā puurā hotā thā
jab tak māthā chuum ke ruḳhsat karne vaalī zinda thī
darvāze ke bāhar tak bhī muñh meñ luqma hotā thā
bhale zamāne the jab sher suhūlat se ho jaate the
na.e suḳhan ke naam pe 'az.har' 'mīr' kā charba hotā thā
Top Urdushayar.com