Azhar Faragh

koi silsila nahin jawedan tere sath bhi tere baad bhi

Azhar Faragh

Okara, Punjab, Pakistan

1980
koī silsila nahīñ jāvedāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
maiñ to har tarah se huuñ rā.egāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
mire ham-nafas tū charāġh thā tujhe kyā ḳhabar mire haal kī
ki jiyā maiñ kaise dhuāñ dhuāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
na tirā visāl visāl thā na tirī judā.ī judā.ī hai
vahī hālat-e-dil-e-bad-gumāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
maiñ ye chāhtā huuñ ki umr-bhar rahe tishnagī mire ishq meñ
koī justujū rahe darmiyāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
mire naqsh-e-pā tujhe dekh kar ye jo chal rahe haiñ unheñ batā
hai mirā surāġh mirā nishāñ tire saath bhī tire ba.ad bhī
Top Urdushayar.com