Dare hue haiñ sabhī log abr chhāne se
vo aa.ī baam pe kyā dhuup ke bahāne se
vo qissa-go to bahut jald-bāz aadmī thā
bahut sī lakḌiyāñ ham rah ga.e jalāne se
nazar to Daal ravānī kī istaqāmat par
ye ābshār hai kohsār ke gharāne se
mosāfirān-e-mohabbat mujhe muaaf kareñ
maiñ baaz aayā unheñ rāsta dikhāne se
agar maiñ āḳhirī baazī na kheltā 'az.har'
to ḳhālī haath na aatā qimār-ḳhāne se