dhuup meñ saayā bane tanhā khaḌe hote haiñ
baḌe logoñ ke ḳhasāre bhī baḌe hote haiñ
ek hī vaqt meñ pyāse bhī haiñ sairāb bhī haiñ
ham jo sahrāoñ kī miTTī ke ghaḌe hote haiñ
aañkh khulte hī jabīñ chūmne aa jaate haiñ
ham agar ḳhvāb meñ bhī tum se laḌe hote haiñ
ye jo rahte haiñ bahut mauj meñ shab bhar ham log
sub.h hote hī kināre pe paḌe hote haiñ
hijr dīvār kā āzār to hai hī lekin
is ke uupar bhī ka.ī kāñch jaḌe hote haiñ