tire ba.ad koī bhī ġham asar nahīñ kar sakā
koī sāneha mirī aañkh tar nahīñ kar sakā
mujhe ilm thā mujhe kam paḌegī ye raushnī
so maiñ inhisār charāġh par nahīñ kar sakā
mujhe jhuuT ke vo javāz pesh kiye ga.e
kisī baat par maiñ agar-magar nahīñ kar sakā
mujhe chaal chalne meñ der ho ga.ī aur maiñ
koī ek mohra idhar-udhar nahīñ kar sakā
ka.ī paikaroñ ko mire ḳhayāl ne shakl dī
jinheñ rūnumā mirā kūza-gar nahīñ kar sakā
mire ās-pās kī muflisī mirī ma.azarat
tirā intizām maiñ apne ghar nahīñ kar sakā