Azhar Faragh

dosh dete rahe be-kar hi tughyani ko

Azhar Faragh

Okara, Punjab, Pakistan

1980
dosh dete rahe be-kār hī tuġhyānī ko
ham ne samjhā nahīñ dariyā kī pareshānī ko
ye nahīñ dekhte kitnī hai riyāzat kis kī
log āsān samajh lete haiñ āsānī ko
be-gharī kā mujhe ehsās dilāne vaale
tū ne bartā hai mirī be-sar-o-sāmānī ko
sharmsārī hai ki rukne meñ nahīñ aatī hai
ḳhushk kartā rahe kab tak koī peshānī ko
jaise rañgoñ kī baḳhīlī bhī hunar ho 'az.har'
ġhaur se dekhiye tasvīr kī uryānī ko
Top Urdushayar.com