Hasan Najmi Sikandarpuri

har zaKHm-e-dil se anjuman-arai mang lo

Hasan Najmi Sikandarpuri

Sikandarpur, Uttar pradesh, India

1913-1989
har zaḳhm-e-dil se anjuman-ārā.ī maañg lo
phir shahr-e-pur-hujūm se tanhā.ī maañg lo
mausam kā zulm sahte haiñ kis ḳhāmushī ke saath
tum pattharoñ se tarz-e-shakebā.ī maañg lo
husn-e-ta.alluqāt kī jo yādgār the
maazī se aise lamhoñ kī ra.anā.ī maañg lo
māñgo samundaroñ se na sāhil kī bhiik tum
haañ fikr-o-fan ke vāste gahrā.ī maañg lo
samjho unheñ jo dete haiñ ye mashvara tumheñ
nargis se haath joḌ ke bīnā.ī maañg lo
vo so ke jyuuñ hī uTTheñ pahuñch jaao un ke paas
aur un se inqalāb kī añgḌā.ī maañg lo
'najmī' sunā hai tum pe bhī mausam hai mehrbāñ
bād-e-sumūm se kabhī purvā.ī maañg lo
Top Urdushayar.com