dil ke āñgan meñ jo dīvār uThā lī jaa.e
ek khiḌkī bhī mohabbat kī banā lī jaa.e
paak sīrat haiñ bahut nuur kā paikar haiñ vo
zehn meñ husn kī tasvīr banā lī jaa.e
zer karne ke liye laakh tarīqe DhūñDo
kyā zarūrī hai ki dastār uchhālī jaa.e
zehn chāhat kī hī ḳhushbū se mo.attar hogā
zehn meñ baat adāvat kī na paalī jaa.e
aam rasta hai yahāñ bhiiḌ milegī tum ko
matlabī raah pe ye ziist na Dhālī jaa.e
ek kam-zarf ke ehsān tale dab jaanā
is se behtar hai ki kashkol uThā lī jaa.e
kījiye aap to mehmān-navāzī 'sājid'
gar hai zahmat to ye zahmat bhī uThā lī jaa.e