lafz aate haiñ aur jaate haiñ
phuul hoñToñ ke thartharāte haiñ
phuul hī phuul yaad aate haiñ
aap jab jab bhī muskurāte haiñ
aap jā kar havā se kah diije
phūl-patte bhī gungunāte haiñ
dhuup baiThī rahī muñDeroñ par
aur kuchh panchhī chahchahāte haiñ
muskurāhaT khilī hai chehre par
ashk āñkhoñ meñ jhilmilāte haiñ
un nigāhoñ ke lakshya par maiñ huuñ
zaḳhm le kar ke tiir aate haiñ
aise tairāk ham nahīñ 'sājid'
ḳhauf gahrā.iyoñ se khāte haiñ