Mamnoon Nizamuddin

har harf-e-arzu pe kare tha wo yar bahas

Mamnoon Nizamuddin

Delhi, India

-1844
har harf-e-ārzū pe kare thā vo yaar bahas
ek ek baat par thī use shab hazār bahas
laa.e hai khīñch ārzū-e-zaḳhm duur se
kaho vaar par na qātil ḳhanjar-guzār bahas
hairat-zadoñ ko mahfil-e-tasvīr kī tarah
ne hai shi.ār-e-ramz-o-kināya na kār-e-bahas
yā zikr-e-dost yā hai zabāñ par hadīs-e-ishq
juuñ ahl-e-madarsa nahīñ apnā shi.ār bahas
takrār se dil apnā jo māñgā kahā ki chal
miltā hai koī ye na abas baar baar bahas
kiije agar gila to taraf-dār yaar ho
aap hī lagā.e mujh se dil-e-be-qarār bahas
'mamnūñ' mujhe nasīhat-e-sā.ib ye yaad hai
tā sulh mumkin ast makun zīnhār bahas
Top Urdushayar.com